Kanz e Aza

Azadari na chordenge

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

hussain(a.s.) hussain(a.s.)


hai irada hai yeh wada

bibi zehra(s.a.) se

hai irada hai yeh wada

bibi zehra(s.a.) se

bibi zehra(s.a.) se

mohammad(s.a.w.w.) kay gharane se

mohammad(s.a.w.w.) kay gharane se

wafadari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


siyaah kapre siyaah chadar

hussaini ki nishaani hai

zaban per noha khuwano kay

lutay ghar ki kahani hai


kisi qeemat pe is ghar se

kisi qeemat pe is ghar se

wafadari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


alamdar-e-hussaini se

azadaro ka wada hai

hawa jitni mukhalif ho magar apna irada hai


yeh bazo kat bhi jay to

yeh bazo kat bhi jay to

alamdari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


hum aanay wali naslo ko

yehi batain bataengay

jo hai aaghosh-e-madar main

unhe matam sikhaengay

aqeeday ki zameeno per

aqeede ki zamneeno per


shajar kari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


hamesha zoor-e-batil se

ali(a.s.) walay hi jeete hain

yazeedi or hussaini(a.s.) to

azal se do qabeele hain


woh ghadari na chorenge

woh ghadari na chorenge


yeh ghumkhuwari na chorenge


azadari na chorenge

azadari na chorenge


shab-e-ashoor kay jagay howoo se

hum ko nisbat hai

yeh shab-e-dariyaa kia hain

aqeedat hai mawadat hai


muqadar ko jagana hai

muqadar ko jagana hai

yeh bedari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


julooso ki yeh salari

isi ghar se hui jari

gay abbas(a.s.) duniya se

mili zainab(s.a.) ko salari


yeh salari to wirsa hai

yeh salari to wirsa hai

yeh salari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


mere mola(a.s.) tere zaieer

hadiso ki sanad le kar

tere roze pe aengay

tere jad ki madad le kar


yeh soo hajj kay baraber hai

yeh soo hajj kay baraber hai

yeh zawwari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge


haram bhi sath hain tere

safar main ay meri dukhiya

sar-e-shabir(a.s.) beti(a.s.) se

yeh douran-e-safar bola


tumhara sath yeh qaidi

tumhara sath yeh qaidi


meri pyari na chorenge


azadari na chorenge

azadari na chorenge


yehi haq baat hai logo

kahain farhan or mazhar

ibadat se ibadat ka

taqabul hum karain kyun kar


namazain bhi parhenge hum

namazain bhi parhenge hum

azadari na chorenge

azadari na chorenge

azadari na chorenge