azadaro imame bewatan ki aaj rehlat hai
ghareebo haamile ranjo mehen ki aaj rehlat hai
hassan hai naame naami aur laqab hai askari jiska
usi sultaane deen shaahe zaman ki aaj rehlat hai
imaame asr ko mara shaqi ne zehr dilwaake
hamaare badshahe kamsuqan ki aaj rehlat hai
hamara badshah masmoom hokar mar gaya haye haye
ali ki aaj rehlat hai hassan ki aaj rehlat hai
nabi ka daagh tha dil par usi par gwaarwa'n nashtar
hua masmoom jo us qasta tan ki aaj rehlat hai
shahinshaahe daham ka naznee'n farzand jaata hai
haseen-o naazuk-o ghuncha daha ki rehlat hai