Kanz e Aza

Baitha hai leke hakime khudsar sare hussain

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Baitha hai leke hakim khud sar sare Hussain, Rakha hua hai tasht ke andar sare Hussain.

Is wajah se jabee'n mubarak hai lal lal, Khaya hai raahe shaam me pathar sare Hussain.

Kya qeher hai ke zeenat e tasht e tila ke baad, Rakhha gaya tandoor ke andar sare Hussain.

Ahle haram ko bali Sakina ko dekhne, Aaya hai qaid qane ke dar par sare Hussain.


Sibte Rasule paak ka Alla'h re mojuza, Quraan padh raha hai sinaa par sare Hussain.

Bali Sakina roti hai zindaan me jis ghadi, Tashte tila me hota hai muztar sare Hussain.

Marne ke baad bhi nahi araam haye haye, 'Hilmi' phir aaya jata hai dar dar sare Hussain..