Kanz e Aza

Assalamu Alaike Ya Sayeda

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Sayyada (4)

Ya taahera raazia marzia fatema shaafiya qairunnisa umm e abeeha sayyada

Assalam (8)


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwida sayyada alwida (2)


1) Jo bhi ansaar e Husain ibn e ALI qatl huwa

Girkey ghodey se zamee par Wo yehi kehta tha

Anta ummi Wa abii mamba fidaa e maula (2)

Kehrahey they yahi maqtool e jafaa


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwida sayyada alwida (2)


2) hurr chalaa jaanib e maqtal paye nusrat jis damm

Yu lagaa uth'tey ho jannat ki taraf uskey qadam

Jung kartey huwey jab narga e aadaa mey ghiraa (2)

Zaqm khaata raha aur kehta raha


Assalam o alaike ya sayyada (4)


Haaye aoun o Mohammad maaregaye (2)

Dono they aapke mehlaqa sayyada

3) rann mey jab aoun o Mohammad ki sawaari aayi

Zulm ki kaali ghataa unki saro par chaayi

Qush huwey dono shahaadat ki qabar hai laayii (2)

Dii sadaa dono ney ye qabl e qazaa


Assalam o alaike ya sayyada (4)


Haaye ugli jawaani Akbar dii (2)

Jedi maqnad hoyi e tabaa sayyada

4) shaah ka noor e nazar laqt e jigar aks e nabii

Ladkey maidaan mey Akbar ney sinaa jab khaayii

Aagaya moo ko jigar qalb mey tootii barchii (2)

Chup zabaa hogayi laasha bola


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwida sayyada alwida (2)


5) hokey bey baazu alamdaar e jarii kehta tha

Aarahii hai mujhey qushboo e janaab e zehra

Mauta mohlat mujhey dedey paye rabb e Kaaba (2)

Aaqri jumla ye Karney dey adaa


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwida sayyada alwida (2)


6) daf'atan jhooley se ek nanha mujaahid nikla

Qadd mey chota tha jigar hazrat e Abbas ka tha

Misl e Abbas Wo maidaan mey bey teyg ladaa (2)

Muskuraatey huwey asgar ney Kahaa


Assalam o alaike ya sayyada (4)


Chakki peeskey zehra ney paala jisey (2)

Wo to pyaasa jahaa se gayaa sayyada

7) aaqri sajda e aaqir ki ghadi aa pahunchi

Zeen se aaye zamee par Jo Husain ibn e ali

Shimr e mal'oon ney gardan pey Jo shamsheer rakhi (2)

Girkey maula ka lahoo bol utha


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwida sayyada alwida (2)


8) kyu na rehan o raza nazr karey hum ye kalaam

Waaris e majlis e Shabbir Jo hai uskey naam

Taakey qush humse ho gaibat mey hamaara Wo imam (2)

Raat din hai ye wazeefa jiska


Assalam o alaike ya sayyada (4)

Alwida alwdia sayyada alwida (2)


Assalam (6)