bano ye sada deti hai kahan ho beta
asghar tujhe mai ran mein lori suna na paayi
waqt e qaza tujhe mai pani pila na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
hoo sharm saar tujhse ay mere laal asghar
aansu bahane teri turbat pe aa na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
qaimon ki raakh par ye karti thi bain bano
chadar ke saath tera jhoola bacha na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
jeene ki maa ne teri maangi thi ek mannat
afsos aaj tak wo mannat barha na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
maara tha jisne asghar maqtal mein teer tujhko
ek pal bhi usko bano ab tak bhula na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
sughra ne jo watan se bheja tha ek kurta
jalte qayaam se wo kurta utha na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
nanhi si laash dekhi naize pe maa ye boli
maqtal ki khaak tujhko ek pal chupa na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
jaati hoo qaid ho kar darbar e ashkiyan mein
haathon mein reesma hai ye bhi bata na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
is baat ka kalak hai jab tak rahungi zinda
farshe aza lehad par aa kar bicha na paayi
asghar tujhe mai ran mein...
ahsan o irteza bhi ye kehke ro rahe hai
asghar ko dil se bano apne laga na paayi
asghar tujhe mai ran mein...