be-rida be-aasra ek karwan rota raha
karwan kya karwan ka saarban rota raha
jab giri bali sakina be-kajawa oont se
dayr tak ek sar sare noke sina rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
ek peher mein lut gaya pardes mein zehra ka ghar
ye suna jisne jahan bas wo wahan rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
muskurakar jaane kya ran mein kaha baysheer ne
hurmala thaame huwe teer o kamaa rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
dekh kar be-haal gham se baap ko waqte sahar
umme laila ka pisar de kar azan rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
khaali kooze tishnalab bachon ko takte dekh kar
dasht mein mashk o alam ka paasban rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
subhe ashoora se lekar asre ashoora talak
dekh kar ran ki zameen ko aasman rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
kashti e deen e khuda ka na-khuda dil thaam kar
dekh kar akbar ke seene mein sina rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
sar bureeda be-kafan teeron se chalni laash par
abid e bemaar muztar natawan rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...
majlis e shabbir mein nauha sunata hai ahsan
irteza sun kar ye gham ki dastan rota raha
be-rida be-aasra ek karwan...