Kanz e Aza

Maa ne Ashkon ke

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Irtaza Johnpuri. Lyrics in Roman Urdu.

maa ne ashkon ke musalle pe sajayi mehendi

daste qasim pe tasavvur may lagayi mehendi


shiddate karb se zainab ka ajab aalam tha

kaampte haathon se jab maa ne uthayi mehendi

maa ne ashkon ke...


qaima e sibte payambar may tha ek hashr bapa

tashnalab bachon se jab pad ke sunayi mehendi

maa ne ashkon ke...


yaad shabbir ko us waqt hassan aaye bahot

goondh kar ashkon se hamsheer jo laayi mehendi

maa ne ashkon ke...


surkh roo kar diya shabbar ko sare karbobala

daste qasim pe kuch is tarha samayi mehendi

maa ne ashkon ke...


lag gayi kaisi nazar qasim e nauhshaah tujhe

ro ke maqtal may ye deti thi duhaayi mehendi

maa ne ashkon ke...


jaane kya baat thi ashoor ki shab jannat may

tasht may hoor e jina dekhne aayi mehendi

maa ne ashkon ke...


jab talak zinda rahe asr ke hungaam ke baad

phir kabhi ahle haram ne na lagayi mehendi

maa ne ashkon ke...


choo ke damaad ke tukdon ko kaha sarwar ne

haye afsos tujhe raas na aayi mehendi

maa ne ashkon ke...


irteza gham se jigar chaak hua us dam

junhi asif ne majlis may sunayi mehendi

maa ne ashkon ke...