maa pareshan hai kitni hairaan hai
laal reh jayega tanha mere abbas ke baad
mere abbas ke baad
bain karti hai ye zehra mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha mere abbas ke baad
mere abbas ke baad
har tarf teer o tabar aur ye khanjar bhaale
chaar soo honge faqat zulm hi karne waale
kaun imdad karega mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
haal e dil kis se kahe kaun mera hai ya rab
qatl karte hai mere laal ko aada be-sabab
zulm ab dhaate hai aada mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
laal ne zakhm ye khaye hai isi maqtal mein
har sitam is ne uthaye hai isi maqtal mein
kaunsa paaya na sadma mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
haye qasim ali akbar na rahe na asghar
kisko imdaad ko apni ye bulaye muztar
hoga shabbir akela mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
hoke do zaanu shahe jinn o bashar baith gaye
kehke maqtal mein haye laashe pisar baith gaye
amma guzri hai bhala kya mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
pushte gardan pe kahin chalta hai khanjar dekho
kaise ye kund bhala karta hai khanjar dekho
kehke rone lagi zehra mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
kaise hoti hai musibat ay falak dekh to le
jiska gehwara hilaate thay malak dekh to le
ran mein kehta nahi aaqa mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
teer paywast hai itne ke nikalun kaise
koi batlade kaleje ko sambhalun kaise
fatema karti hai nauha mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...
jalti reti pe pada reh gaya laasha uska
shams aamir ye bayan fatema zehra ne kiya
kaise utthega janaza mere abbas ke baad
laal reh jayega tanha...