hussain kehte hai bhaiya bahot akela hoo
na jao chod ke tanha bahot akela hoo
sukoon ho meri dhaaras ho mera shaana ho
tumhi to jism ho mera tumhi to saaya ho
ujad gayi meri dunya bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
ajeeb haal may bhaiya ye saara ban dekha
kahin pe haath kahin sar kahin badan dekha
bahot bada hai ye sadma bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
tumhara bhai ho sadqe tumhare shaano par
ay bhai bhai kaho ek baar to uth kar
utho utho mere bhaiya bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
koi bhi saath nahi hai jo thaam le aa kar
har ek laash pe jaata hoo ghutniyon chal kar
badan ke choor hai aaza bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
amama dekho mera aur payrahan dekho
hai khaak o khoon se aalood ye badan dekho
raha na koi sahara bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
tumhare saath may rehna hamari aadat hai
jawan bhai ka marna bhi ek qayamat hai
hai dasht khoon may dooba bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
har ek simt udaasi hai beqaraari hai
hamari fauj ki tum pe hi zimmedaari hai
karo na hum ko akela bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
mai jaa ke qaime may zainab se kya kahoo bolo
bas ek baar hi qaime may mere saath chalo
karunga phir na ye shikwa bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...
ay shams tera muqaddar faraaz tak pahunche
sada ye aap ki aamir hijaaz tak pahunche
hussain padte hai nauha bahot akela hoo
hussain kehte hai bhaiya...