Kanz e Aza

Akbar tumhe maloom hai kya maang rahe ho

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Akbar tumhe maloom hai kya maang rahe ho

Tum baap se marne ki reza maang rahe ho


Is aalame ghurbat mein tumhe jaane doon kaise

Is dashte musibat mein tumhe jaane doon kaise

Is waqte kayamat mein tumhe jaane doon kaise

Ay laal jo tum izn wigaa maang rahe ho


Tum baap ...


Kya guzregi iss baap ke dil par nahin socha

Tumne ye meri jaan ali akbar nahin socha

Mar jaunga main tujhse bichhad kar nahi socha

Tum mujhse zaeefi ka asaa maang rahe ho


Tum baap ...


Dil rota hain nazron se agar door ho beta

Kis tarha judaai teri manzoor ho beta

Tum hi meri ankhein ho mera noor ho beta

Mujhse meri ankhon ki ziya maang rahe ho


Tum baap ...


Duniya se gaya jis ghadi mehboob khuda ka

Nana ki ziyarat ko tadapta tha nawasa

Aye laal tujhe is liye khaalik se tha manga

Maqbool huwi meri dua maang rahe ho


Tum baap ...


Islam pe khud apna lahoo rann mein bahao

Sine pe sina shaan se maidaan mein khaao

Tasweer payambar ki tahe khaak milao

Kya is liye marne ki riza maang rahe ho


Tum baap ...


Ek roz tujhe aan k manga tha phuphi ne

Atthara baras naazon se paala tha phuphi ne

Beton se bhi zyada tumhe chaha tha phuphi ne

Ehsaan jo zainab ne kiya maang rahe ho


Tum baap ...


Rakhte nahi tum iski khabar aye mere pyare

Kis darja mohabbat hai teri dil mein humaare

Nana ki mere shakl hai paikar mein tumhare

Tum soorate mehboobe khuda maang rahe ho


Tum baap ...


Sar tera bhi jiss waqt chadhega sare naiza

Hoga sare maidaan juda sar bhi tumhara

Hum shakle payambar ka gala kaatenge aadaa

Goya mere nana ka gala maang rahe ho


Tum baap ...

Baba mujh maloom hai kya maang raha hoon

Ek baap se marne ki riza maang raha hoon


Baba mujhe Amma ne bhi kuch dars diya hai

Adabe wafa se mujh aagah kiya hai

Pehle mein maru aap se wada ye liya hai

Buss is liye marn ki riza maang raha hoon


Ek baap se marne ki riza maang raha hun ...

Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun


Hai aap to baba bine khaatoon qayamat Aur maa hai meri adna si ek pehkare ismat

Kya sine mein us ke nahin kuch jazbahe ismat

Mein madare muztar ka kaha maang raha hoon


Ek baap se marne ki riza maang raha hun ...

Baba mujhe maaloom hai kya maang raha hun


Baba mujhe ehwaale dil zaar pata hai

Hai sakht bohat manzile dushwaar pata hai Aur deen ka mushkil mein hai sardaar pata hai


Yun aap se marne ki riza mangu raha hoon

Ek baap se marne ki riza mangu raha hun ...

baba mujhe maloom hai kya maang raha hun


Mai Shaer e Hassaas jigar soz hu khursheed

mehve gham e shabbir shab o roz hu khurshid

aalaam e masaeb se zamee'n doz hu khurshid

kashkol me kuch ashq e aza maang raha hu


Ek baap se marne ki riza mangu raha hun ...

baba mujhe maloom hai kya maang raha hun