AKBER TUJHE SINA LAGI MAA KA KALEJA SHAQ HUWA
Aththara(18) saaal pala tha madar ne kya isi liye
Ankhon mein ye sama liye kaise tumhari maa jiye
Dar par khadi hai maa teri takti hai raasta tera Kyun aydeyaan ragard teho ankhen to kholo aye pisar
Ek bar usko dekh lun balain pe hai tera pidar
Aaye sada juhi teri har su andhera cha gaya
Laila na dekh paye gi lasha lahu lahu tera
Ab usko ta zindagi gham ye tera rulaye ga
Tujhse bichard ke meri jaa’n ab wo bhala jayegi kya
Utho khuda ke waste hum shakl-e-Mustafa utho
Kya so rahe khak par sun lo sada utho
Ye karb-e-bekaraa’n tera tujh se na dekha jayega
Benaye ja chuki meri chaya hai har taraf dhuwan
Ghurbat pe meri koi bhi khata nahi taras yahan
Kis tarha mai uthaon ye lashe jawaa’n tu hi bata
Aisa na ho kahin teri madar na ghar se chal pade
Lashe ko tere dekh kar muh se jigar nikal pade
Pathar nahi hai dil hai ye ek bad naseeb baap ka
Allah aye Sohail wo manzar bhi kya ajeeb tha
Rakh kar zamee’n pe lash jab bachon ko shei ne de sada
Tanha na mujh se lasha-e-Akber uthaya jayega