ASHOOR KO KARBAL MEIN LUTA FATEMA KA GHAR
Wada kiya tha maa se jo usi ko nibha gaye
Pyase shaheed hogaye Zainab ke laadle
Abbas-e-naam daar se Shabbir kehte the
Kis tarha jake dunga mai khaime ye khabar
Pamaal haye Qasim-e-gul goo qaba huwa
Lasha Hasan ke laal ka tukdon mein bat gaya
Kaise sahen gi Fatema Kubra ye saneha
Marjaye gi wo khaime mein manzar ye dekhkar
Maidaa’n se aaye Akber-e-mehroo ki jab sada
Thame huwe jigar ko chale Shahe karbala
Pohunche sarhane bete ke aur ro ke ye kaha
Ankhen to kholo laal mere aagaya pidar
Shane kata ke sogaye Abbas-e-bawafa
Sar peet ke Hussain se Zainab ne ye kaha
Parde ka mere haye muhafiz nahi raha
Kaisa sitam ye toot gaya Alhebait par
Bano ki thi fugaa’n ye qayamat guzar gaye
Che mah ke sagher pe kaisi jafa huwi
Dekhi nahi kisi ne bhi Asghar ki tishnagi
Cheda gaya surahi gala dast-e-Shah par
Dasht-e-bala mein kat gaya Shabbir ka gala
Saidaniyon mein hashr huwa wa Mohammada
Aale Rasoole paak ye ko-e-alam gira
Rohe Janabe Fatema Zehra hai nauha gar
Bali Sakina kehti thi aajaeye chacha
Pani kabhi na maangu gi ye wada hai mera
Jab se sidhare aap mai sehti hoon har jafa
Shimre layee ne cheen liye kaan se gohar
Sahil bayan ho kaise qayamat ki wo ghadi
Ahle haram ke khame jale chadaren cheni
Aaye sada ye hatife ghaibi ki Ya Ali
Imdad aake kijiye ya Shahe Behrobar