ARBAYEE’N HAI ARBAYEE’N SHABBIR KA HAI ARBAYEE’N
Arbayee’n hai karbala mein Mustafa ki aal ka
Qasim-e-Nausha ka Zainab ke donon laal ka
Akber-e-Dilgeer ka Asghar se naune haal ka
Jaa’n nisar aane Shahe dilgeer ka hai Arbayeen
Hai zameene karbala par moorde ranjo bala
Raste mein Shahe deen ko dagh Muslim ka mila
Seh gaya sadme pe sadme jaa’n nisare kibriya
Pyas ke sehra mein alam gir ka hai Arbayeen
Hogaye jo naher pe Abbas ke shane juda
Sar se sarki Zainab-o-Kulsoom ke usdam rida
Thi Sakina ki fugha’n maare gaye mere chacha
Hyder-e-Karrar ki tasveer ka hai Arbayeen
Teer se talwar se zaqmi tha Sarwar ka badan
Chal rahi thi bhuke pyase ke gale par teghe zan
Kat-ta tha bhaye ka sar thi samne bakas bahen
Shor hai har su bapa Shabbir ka hai Arbayeen
Dhal gaya ashoor ka din aagaye shame bala
Sar se Aale Mustafa ke chin gaye hai hai rida
Lut gaye Ahle Haram bimaar ka bistar jala
Markaze tatheer ki tanveer ka hai Arbayeen
Kaan se gohar Sakina ke utare shimr ne Aur tamache Binte Sarwar ko lagaya shimr ne
Abid-e-Bimaar ko bedi pinaya shimr ne
Noor-e-Aine Fatema dilgeer ka hai Arbayeen
Rahe sham-o-kufa mein hoke rahe zulm-o-sitam
Ooton se gir gir ke bache margaye har har qadam
Saarba’n bimaar tha aur berida Ahle Haram
Lut gaya Hyder ka ghar Shabbir ka hai Arbayeen
Baad marne ke Sakina ki rehaye mil gaye
Behre chehlum Aale Ahmed jab suwe maqtal chali
Dekh kar bhaye ka marqad kaanp uthi Binte Ali
Peet sar Hyder Shahe dilgeer ka hai Arbayeen