Arbayeen hai arbaayeen hai
Ro rahi hai karbala me syeda, arbayeen hai arbayeen hai
Gham me doob jaaiye hussain ka.. arbayeen hai arbayeen hai
1. Chutke qaid se jab aayi karbala me bibiya
Bekasi pe shah ki tab ro raha tha aasman
Keh rahe the sogwaar e karbala arbayeen hai arbayeen hai
2. Qabr par hussain ke hai aasmaan ke makeen
Maatam e hussain mein hai aaj zainab e hazeen
Sar ko apne peet te hai mustafa arbayeen hai arbayeen hai
3. God khaali dekhti hai aaj saari bibiyan..
Karbala ki khaak me hai aaj haashmi jawaan
Fateha ke waste koi na tha arbayeen hai arbayeen hai
4. Zakhmi hai gala ye mera dukh rahe hai ustoqa
Qaid hoke ranj sehke sar mai laaya baaba jaan
Lijiye salaam apne laal ka arbayeen hai arbayeen hai
5. Kaise sham hum gaye the bhai jaan na puchiye
Zulm ke nishaan mere baazuo pe dekhiye
Karne zainab aayi hai maatam tera arbayeen hai arbayeen hai
6. Ro rahe hai murtaza bhi qabr par hussain ki
Ro rahe hai mujtaba bhi qabr par hussain ki
Bhooki pyaasi shah ki sipaah ka arbayeen hai arbayeen hai
7. Ghamzada rasool ki nawaasiyo ki deed thi
Hum jo pohanche berida to shaamiyo me eid thi
Ghazi teri yaad aayi us jagah arbayeen hai arbayeen hai
8. Jaane kab hayaat humse moo ko apne modhle
Matam e hussain karke rab se naata jodhle
Dawar
e hazeen ki hai ye ilteja arbayeen hai arbayeen hai
Kalaam : Ustad Janab Dawar Ali Dawar Sahab