shabbir se milne ke liye aayi hai zainab
ay bhai hussaina
abid ko ziyarat ke liye laayi hai zainab
ay bhai hussaina
saumpi thi amanat jo mujhe aap ne bhaiya
wo pyari sakina
afsos usay shaam may chod aayi hai zainab
ay bhai hussaina...
bhaiya mere akbar ki qasam sabr kiya hai
shikwa nahi lab par
raahon may har ek gaam pe dukh paayi hai zainab
ay bhai hussaina...
jab se mai tumhe chod ke maqtal se gayi hoo
kya guzri hai tum par
kuch to kaho sadqe gayi maajayi ay zainab
ay bhai hussaina...
sar nange thi aur haath bhi gardan se bandhe thay
jis basti se guzri
paigham tera sab ko suna aayi hai zainab
ay bhai hussaina...
marqad pa teri dekh ye behosh pade hai
kis kis ko bataun
jis jis ko aseeri se chuda laayi hai zainab
ay bhai hussaina...
sughra jo ye poochegi kahan hai mera asghar
mai us se kahun kya
kehdungi tere paas sula aayi hai zainab
ay bhai hussaina...
tauqeer laraz jaata hai shabbir ka rauza
ye aaj bhi sun kar
shabbir se milne ke liye aayi hai zainab
ay bhai hussaina...