baba musafiron pe qayamat guzar gayi
pahunche ghareeb jis ghadi qabre hussain par
ye keh ke roye qabr pe sajjad nauhagar
baba suno ghareebon se ab haalat e safar
ummat ne bewatan ko phiraya hai dar badar
zainab dayaar e shaan mein jab nange sar gayi
baba musafiron pe...
maqtal se hum chale thay to haathon mein thi rasan
baba muaaf karna na hum de sake kafan
pamaal ho chuke thay shaheedon ke sab badan
tha kor khoon mein dooba hua tha tamaam ban
aulaad e fatema sar e maqtal bikhar gayi
baba musafiron pe...
maqtal se is tarha se guzara gaya hamay
khoon ke samandaron mein utaara gaya hamay
baba har ek gaam pe maara gaya hamay
baaghi ki aal keh ke pukara gaya hamay
ranj o alam ki taygh jigar mein utar gayi
baba musafiron pe...
bazaar e shaam aur wo logon ka ijdehaam
aise mein shimr leta tha saydaniyon ke naam
us shaam mein hua tha aseeron ka qatle aam
koi na tha jo karta hamara bhi ehteraam
qaatil hi dikh rahe thay jahan tak nazar gayi
baba musafiron pe...
zindan e shaam pahunche to ye bhi ghazab hua
amma rabab karne lagi girya o fughan
ek karbala ke baad hui ek karbala
zindan ke dar se deti thi ammu ko jo sada
aakhir yehi hua ke sakina bhi mar gayi
baba musafiron pe...
ye keh ke ghamzada ne kiya aakhri salaam
royenge jaa ke shehre madina mein subho shaam
sughra ko denge kaise tasalli e tashna kaam
ghar jaa ke yaad aayenge jalte huwe qayaam
basti zafar ghareebon ki ashkon se bhar gayi
baba musafiron pe...