zainab ne ye abid se kaha beta chalenge karbala
zindaa'n me sab kuch kho gaya beta chalenge karbala
do bhaiyou se mil to lu ehwaal dil ke keh to lu
kya kho chuki kya hai bacha beta chalenge karbala
maqtal me sheh jaate hue jo mujh se waade the kiye
har waada pura ho chuka beta chalenge karbala
jo godiyou ke paale the pamaal lashe un ke the
tha dil se jine ka maza beta chalenge karbala
jo god hai viraan hai waris quda ki shaan hai
kaisa bhara ghar lut gaya beta chalenge karbala
akbar o asghar mailaqa abbas o qasim dilruba
har chaand mitti me mila beta chalenge karbala
noore nazar laqte jigar sab ho chuke dee'n ki nazar
sab kuch luta ek dee'n bacha beta chalenge karbala
tha bhai bhi beta bhi tha abbas ka saani na tha
wo kya gaya sab kuch gaya beta chalenge karbala
zahra ke gulshan ki kali thi ek sakina jo bachi
uska bhi matam ho chuka beta chalenge karbala
ab bhai se abbas se kehna jo guzre had se
hai koun apna jo bacha beta chalenge karbala