Kanz e Aza

Bhai ka Pehla

A noha for Arbayeen, written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

zindan mein zainab roti hai

bhai ka pehla chehlum hai


sar apna jhukaye baithi hai

bhai ka pehla chehlum hia


wo nazr dilaye kis tarha

pani bhi nahi hai ek khatra

ghazi ki bahot yaad aati hai

bhai ka pehla...


dil khol ke rone na paayi

apne bhai ko maajayi

rone pa bhi pabandi hai

bhai ka pehla...


is tarha koi majboor na ho

aur itne ghamon se choor na ho

zahra ki dulaari qaidi hai

bhai ka pehla...


kulsoom ke dil pe kya guzri

ye jaan nahi paaya koi

chehre pe bahot mayoosi hai

bhai ka pehla...


athara baradar ki khwahar

kis tarha rajhe dil pe pathar

zindan hai aur lachari hai

bhai ka pehla...


zindan ke andar ay waiz

hai hashr ka manzar ay waiz

ghurbat hai ali ki beti hai

bhai ka pehla...