arshe bari se aayi jo ta'damat sada
kufa shehr mein hashr ka hangaam hogaya
goonji fiza mein jab ye sada haye murtaza
nauha kuna kaha jo manadi ne alvida
zainab rida ko thaam ke karne lagi buka
baba nahi rahe baba nahi rahe
masjid hai soghwar musalla hai ghamzada
sajde mein sar ali ka shikasta kiya gaya
kufa shehr mein aaj hai aaghaz e karbala
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
be aasra huwe thay jo bacche tadap gaye
pyale jo doodh ke thay wo haathon se gir gaye
dar par ali ke saare yateemon ne di sada
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
raaton ko uth ke pani pilayega kaun ab
bole hussain pyaas bujhayega kaun ab
amma ke baad aagayi baba ko bhi qaza
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
dekha bade jo bhai ko rone lagi behan
haye hassan pukaar ke boli tera badan
dekhungi an-khareeb mai teeron bhara hua
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
jis ki dua ne usko alamdaar kar diya
abbas tha wo hyder e karrar kar diya
kaise kare yaqeen wo abbas e bawafa
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
ye soch kar ke mujhko ye beti kahe abhi
mayyat pe apne baap ki nade ali padhi
ab tak qubool kar na saki binte sayyeda
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...
muslim ke saath masjide kufa mein ya khuda
pursa batool e paak ki beti ka ho bapa
zarbat ki jaa pe bain kare yasir e aza
baba nahi rahe baba nahi rahe
zainab rida ko thaam ke...