ek taraf ghazi ka laasha ek taraf shabbir ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ro ke zainab ne kaha mai ye na manzar dekhti
is se pehle bhaiyon ko khoon may tar dekhti
uth gaya hota janaza waaris e tatheer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
beridaon ko diya karti ridayein sar ki mai
kal badal deti thi taqdeerein zamane bhar ki mai
aaj matam kar rahi hoo apni khud taqdeer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
kis tarha se doo tasalli kis tarha samjhaun mai
kis tarha bano ko apne saath le kar jaaun mai
sar sare noke sina hai asghar e baysheer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
dekh kar baazu bureeda bekason ki aas ko
baat ye kaise bataaun mai bhala abbas ko
paas maqna jal raha hai dukhtare shabbir ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
ab mera ghazi nahi mujhko bachane ke liye
is liye tayyaar hoo mai sang khaane ke liye
fayeda koi nahi hai ab kisi tadbeer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
shaam o kufa may sitamgar ye sitam bhi dhayenge
meri jaanib teer nazron se chalaye jayenge
ghairat e abid karegi saamna har teer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...
nauhagar yasir o sajid hai jo har ahle aza
haye zainab haye zainab haye zainab ghamzada
yehi nauha tha tan e sajjad par zanjeer ka
aur guzar hai darmiyan se berida hamsheer ka
ek taraf ghazi ka laasha...