Kanz e Aza

Gham ki Maari

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Tauqeer Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

gham ki maari ye boli sakina

koi ab to nahi haye apna


ab na qasim rahe hai na bhaiya

ab na ammu rahe hai na baba

kis ko awaaz doon mai khudaya

gham ki maari...


pani lene ko darya kinaare

mere ammu yahan se sidhaare

dum bhi ghutne laga gham ke maare

ab to dubhar hua saans lena

gham ki maari...


jhoola asghar ka khaali pada hai

meri amma ko gash aa gaya hai

haath jhoole pe unka dhara hai

koi aa kar khudara uthaana

gham ki maari...


bhaiya abid bhi ghash may pada hai

wohi is waqt sab se bada hai

unke charon taraf sab khadhe hai

unke maathe pe bhi hai pasina

gham ki maari...


baba jaane ko aaye hai dekho

kuch batane ko aaye hai dekho

kya sunane ko aaye hai dekho

ab to mushkil hua mera jeena

gham ki maari...


dukh pa dukh zaalimon ne diye hai

shimr ne mere bunde liye hai

kaan mere wo zakhmi kiye hai

haye rukta nahi khoon behna

gham ki maari...


rassiyan kab ye aakhir khulengi

sakhtiyan zulm ki kab rukengi

sayliyan yun hi padti rahengi

meri amma se jaa kar ye kehna

gham ki maari...


qaid may kya sada hum rahenge

zulm kab tak ye aakhir sahenge

aisa lagta hai ab hum marenge

hua hargiz na sughra se milna

gham ki maari...


ab bhi tauqeer zaidi ye sun lo

ek bachi ye kehti hai ro ro

qaid khane se mujh ko chuda do

mere ammu ko jaa kar ye kehna

gham ki maari...