fizza ne zainab se kaha
bibi madina aa gaya
aale nabi ka khafila
jab qaid se chut kar chala
nazdeek yasrab jab huwa
fizza ne zainab se kaha
bibi madina aagaya...
ab khatm hai apna safar
aata hai ab mujko nazar
wo samne yasrab nagar
hazrat ka rauza aagaya
bibi madina aagaya...
khafela da aale nabi
paysh bande aame rawa shudh
yasrab da chhe niside shud
fizza zainab da howe
bibi madina aagaya...
basti se hat kar kuch qadam
maidan mein tehrenge hum
ya hasrat o yaas o alam
dilgeer e khasta be-nawa
bibi madina aagaya...
beemaro laaghir natawan
sajjad karte hai bayan
pehle naqeeb e kaarvan
basti mein bheja jayega
bibi madina aagaya...
ehle madina aayenge
barbad hum ko payenge
betaab sab ho jayenge
ho jayega mehshar bapa
bibi madina aagaya...
sarwar na ayenge nazar
akbar na ayenge nazar
asghar na ayenge nazar
sughra ka hoga haal kya
bibi madina aagaya...
abbas ab aajaiye
pani nahi ab chahiye
himmat hamein bandhwaiye
rauza nabi ka aagaya
bibi madina aagaya...
rulwa rahi hai aaj bhi
tadpa rahi hai aaj bhi
yaad aa rahi hai aaj bhi
tauqeer zaidi ye sada
bibi madina aagaya...