Kanz e Aza

arbayeen hai tera mere bhaya husain

A noha for Arbayeen. Lyrics in Roman Urdu.

Qabre shabbir par nouha zainab ka tha

Ye behen aayi hai uthke dekho zara

Arbayee'n hai tera mere bhaya husain

1. Haye kadiyal jawaa'n, khayi usne sina

Ek kohram tha bain arzo samaa

Qabre akber pe jab aayi sab bibiyaa


2. Qasime qastatan haye gul pairahan

Zindagi me hua uska paamaal tan

Haye bewa hui ek shab ki dulhan


3. shaamo koofa se jab hum guzaare gaye

Naam le kar waha'n sab pukaare gaye

Kisko aawaz doo'n sab to maare gaye


4. Mere bhaya mere dil me armaan tha

Ho badi dhoom se bhai chehlum tera

Koi saaya nahi thi behen ki sada


5. Raah me har taraf hasrato yaas thi

Kaise batlaau mau har qadam pyaas thi

Sar barahna rahe yaade abbas thi

Ho gayi intehaa' qaide zindaan me

Thi qayamat bapa ek zindaan me

Dafn aabid ne ki lash zindaan me

Aabide qastatan par the ranjo mahan

Touqo zanjeer thi aur aabid ka tan

Sehke sulmo sitam aayi bekas behen