Dur ab Karbala se aye mowla ek pal vhi raha nahi jata -2
Iss baras arbaeen me gazi naam ho zayerin me mera
____________
1- Qafle aap ki ziyarat ko
Kitne mere watan se jate hain
Aor ham muflisi ke mare hue
Ashk bas ankh se bahate hain -2
Aap babe murad hain maola
Mojiza kuchh dikhaiye ayesa
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
______________
2- Qalbe muztar ko aasra de do
Apne bimar ko shifa de do
Koi ummeed to nazar aaye
Mujhko jeene ka haosla de do -2
Dil me hasrat liye na mar jau sun lo meri ye ilteja maula
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
_______________
3- Jaun paidal Najaf se karbobala , ho nigaon me aap ka raoza
Khwahishe khuld vhi na ho us dam , dil me mere aye shahe karbobala -2
Meri ankho ne khab dekhe hain
Inko tabeer dijiye aaqa
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
___________
4- Subha ta sham bas dua hay meri , kash kismat ye meri khil jaye
Astane ki apke hamko , mere mowla gulami mil jaye -2
Khatm ho intezar ki ghariya , apne dar pe bulalo behre khuda
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
________________
5- Kismate hur sawarme wale, dee pe sir apna warne wale
Zere khanjar hay khushke hoto par, naam hak ka pukarne wale -2
Sunlo fariyaad apne shayda ki, wasta apko Sakina ka
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
______________
6- Ap mushkil kusha ke bete hay, ap hajat rawa ke bete hay
Ap hay mustafa ke dil ka sukon, ap khairun nesa ke bete hay -2
Bheek de dije apne dar ki hame, aye shahe yasrabo shahe batha
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
_____________
7- Ake hum ow makam dekhenge, khayi Akbar ne jis jagah barchi
Sheh ne jis jaa larazte hato se, hashe kariyal jawa uthayi thi -2
Pardke nawha jawan bete ka, umme layla ko denge hum pursa
Is baras arbaeen me ghazi
Naam ho zaerin me mera
8-Keh ke labbaik ya Hussain as chalen ,ham *fidayan e mehdiye daoran*
Manzar e Karbala ho nazro me, aor labo par hamare aaho Fughan -2
Har azadar ki tamanna hai aor har matami ke dil ki sada
Is baras arbaeen me ghazi maan ho zaereen me mera.