hua jab qatl ahmed ka nawasa
layeeno ne har ek qaima jala diya
haram ko lootne jab aaye aada
ye nauha pad rahi thi binte zehra
arey o shaam walon meri chadar na cheeno
arey o kalmagoyo meri chadar na cheeno
shabe hashr mehboob e khuda hai
musalaman jiska kalma pad raha hai
mera nana mohamed mustufa hai
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
mera baba ali e murtaza hai
rasoolon ka bhi wo mushkil kusha hai
na ye samjho ke wo mujhse juda hai
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
agar suye najaf mud kar pukarun
mai ek awaaz mein unko bulalun
jo chahun khaak mein tumko miladun
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
mera bhai hai abbas e dilawar
bhatija sahib e ghairat hai akbar
na sar par aasman gir jaye phat kar
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
mere bachpan mein ye ek din hua tha
achanak sar jo mera khul gaya tha
to suraj sharm o ghairat se chipa tha
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
mere bhai ko maara chup rahi mai
mere ghar ko ujada chup rahi mai
har ek qaima jalaya chup rahi mai
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
agar mai bad'dua ko haath uthadun
abhi arsh e mualla ko hiladun
har ek zaalim ko mitti mein miladun
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...
suni faryad kab zainab ki anwar
na chodi sar pe jalladon ne chadar
ye kehti reh gayi sarwar ki khwahar
meri chadar na cheeno
arey o shaam walon...