Kanz e Aza

Az: Janab Raza Ali Sohail Sahab.

A noha for Aon o Mohd (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Qaime Ke Dar Pe Shaah Ne Rokar Yeh Di Sadaa.


Zainab ((asws).......Zainab S.A. Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


1. Ladte Rahe Furaat Ki Jaanib Na Ki Nazar.

Qurbaan Hone Deen Pe Baandhe Hue Kamar.

Wo Teen(3) Din Ki Pyaas Mein Wo Josh Wo Wigha.


Zainab (asws)... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


2. Badh Badh Ke Waar Karte the Lekar Ali (asws) Ka Naam.

Bhooke the Teen(3) Din Se Wo Dono the Tishnakaam.

Tegh O Sinaa O Teeron Ko Har Simt Thi Fiza.


Zainab (asws)... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


3. Dono Pe Har Taraf Se the Wo Zulm Al-amaa'n.

Tegho'n Se Choor Choor Thi Bachon Ki Pasliya'n.

Ghode Se Wo Zamee'n Pe Gire Waa Musibata.


Zainab (asws)...... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


4. Laasho'n Ko Ran Se Laaye the Jab Shaah E Mashraqain.

Qaimon Mein Shaah E Dee'n Ke Tha Har Simt Shor O Shain.

Karte the Sar Ko Peet Ke Saidaniya'n Buka.


Zainab (asws)....... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


5. Sar Taa Qadam Lahoo Mein the Zainab (asws) Ke Dono Laal.

Masoom Teen(3) Roz Ke Faaqo'n Se the Nidhaal.

Mamu Pe Apne Aun O Muhammad (asws) Hue Fida.


Zainab (asws)...... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


6. Zainab (asws) Hain Sabr Karna Tumhe Zindagi Tamaam.

Matam Tumhe Hain Karna Sada Zindagi Tamaam.

Armaa'n Sabhi Bekaar Gaye... Ghar Tera Lut Gaya.


Zainab (asws).... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


7. Matam Sohail Aun O Muhammad (asws) Ka Hai Bapa.

Majlis Mein Pursa Lene Ko Aayi'n Hain Fatima S.A.

Nauha Yeh Lab Pe Anjuman E Asghari Ka Tha.


Zainab (asws)....... Zainab (asws) Tumhare Bachon Ne Waada Wafa Kiya.


Az: Janab Raza Ali Sohail Sahab.