BAIN KARKE MAA HAAYE MERI JAAN AUN-O-MOHD
HAAYE MERI JAAN BAIN KARKE MAA AUN-O-MOHD
AUN-O-MOHD AUN-O-MOHD AUN-O-MOHD AUN-O-MOHD
1.Madar-e-Ghamkhar Ki Aankhou Ke Sitare
Nusrath Sabbir Me Pyase Gaye Maare
Kitne Jaari They Khoon-e-Ali They
Wakif-e-Quran Aun-o-Mohd
2.Jung Ke Maidan Me Do Chand Jo Chamke
Lashkar-eKuffar Pe They Mout Ke Saaye
Khair-e-Khuda They Maa Ki Dua They
Ban Gaye Toofan Aun-o-Mohd
3.Chota Bade Bhai Se Maidan Me Pukara
Fouj-e-Sitamgar Pe Aisa Kare Hamla
Ek Sada Ho Jaan Bachao
Aagaye Haan Haan Aun-o-Mohd
4.Ladhte Kahan Tak Wo Bhala Tashna Dahan They
Pyas Ki Shiddith Se Wo Dono Laabejaa They
Gir Gaye Thak Kar Farshe Zameen Par
Dasht Ke Mehmaan Aun-o-Mohd
5.Jab Gire Maidan Me Sher-e-Dilawar
Laashe Padhi Rahgayi Jab Khakh Ke Upar
Sheh Ke Fidayi Dono Yeh Bhai
Hogaye Qurban Aun-o-Mohd
6.Shukar-e-Khuda Zainab-e-Muztar Ne Kiya Tha
Kehne Lagi Dono Ne Sar Kardiya Oucha
Khush Howi Madar Dekh Ke Besar
Sheh Howe Girya Aun-o-Mohd