Ek behan ke armaan hai karbala ko jaaungi
Karbala me bhaayi ka sog mai manaaungi
Arbaayeen manaungi arbaayeen manaungi
Sham me huwa kya kya bhayi ko bataaungi
1. Kya azeem ghurbat thi fatema ke jaani ki
Itne din se thi besar laash mere bhaayi ki
Sar hussain ka laakar laash se milaaungi
2. Raah e sham me maine kis qadar sitam jhele
Rassiyo se haatho par daagh padh gaye neele
Ye nishaan rassi ke bhayi ko dikhaaungi
3. Qaid e sham me humko gham wo degayi bhaiyya
Tujhko yaad kar kar ke bachchi mar gayi bhaiyya
Shah ki laadli par nai roungi rulaaungi
4. Naujawan ali akbar hum shabeeh e paighambar
Kis tarha lagi barchi haaye qalb e akbar par
Lout kar mai sughra ko kis tarha bataaungi
5. Sar tha bar sar e naiza che mahine waale ka
Humko gham sataata hai godiyon ke pale ka
Bezubaan ke gham me ashk main bahaaungi
6.
Meer
qabr e sarwar par bain the ye zainab ke
Mai watan ko jaaungi tujhko chodhkar kaise
Kis tarha mai tere bin zindagi bitaaungi
Kalaam : Meer Kumai ALi