Ajab Zehra Ke Bete Ki Ghareebi Ka Zamana Hai
kamar Tooti Hai Aur Abbas Ka Lasha Uthana Hai
1. Tarayi Par Jise Loota Hai Milkar Shaam Walo'n Ne
ali-e-murtaza Ke Daman-e-dil Ka Khazana Hai
2. Layee'n Kehte The Abbas-e-jari Ko Qatl Kardalo
agar Is Aalam-e-ghurbath Me Sarwar Ko Rulana Hai
3. Wafa Ghazi Ki Kehti Thi Pharere Ka Lahu Pocho
alam Ko Bibiyon Ke Darmiya'n Khaime Me Jana Hai
4. Kaha Shabbir Ne Amma Sambhalo Haath Ghazi Ke
inhe Bali Sakina Ki Nigaho'n Se Chupana Ha
5. Ridaye'n Roke Kehti Thi Na Jao Janib-e-dariya
tumhe Toh Zainab-o-kulsoom Ka Parda Bachana Hai
6. Huva Hai Imteha'n Kab Khatm Ghazi Ke Kate Sar Ka
abhi Toh Berida Behno'n Ko Lekar Shaam Jana Hai
7. Ajal Akber Ke Lashe Par Yeh Kehkar Bain Karti Thi
jigar Hai Noujawani Ka Magar Naiza Purana Hai
8. Yeh Kehkar Dasht Me Sheh Turbat-e-asghar Banate Hai
mujhe Aye Zulfeqar Ab Sabr Tera Aazmana Hai
9. Bilal-e-kazmi Ta'zindagi Abbas Ke Gham Me
yunhi Likh Likh Ke Masoomeen Ko Nouhay Sunana Hai