Kanz e Aza

alvida aye hussain

A noha for Alvida, recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

alvida aye hussain, aye hussain alvida

Aye rasoole mukarram ke chain alvia

zeenate do jaha'n hai tere naqshe paa

tere sajde kiye maghrabain alvida


majlise teri har ghar me ho jalwagar

tujhko roti hai dunya hussain alvida

chaandni raat par murdani chaa gayi

kho gaya chaand taaro ka chain alvida


sar khule faatima aa rahi hai nazar

ro rahe hai shahe mashraqain alvida

aaj shaame gharibaa'n ke hai tazkere

ab bhi roeenge hum poori Rain alvida


hum jiyenge to agle baras roenge phir se hoga yahi shore shain alvida