Kanz e Aza

arbaee'n karne ko aayi hai behan

A noha for Arbayeen, recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

arbaee'n karne ko aayi hai behan

peshwaayi ko mere aaye koi

housla mera badhaaye to koi

mujhko seene se lagaye to koi


kya hua mere gharaane ka chalan

mera abbase dilawar hai kahan

mera armaa'n mera akbar hai kahan

jhule wala ali asghar hai kahan


ye batao hai kahan ibne hassan

mai kabhi koocha o bazar me thi aur kabhi qaide sitam gaar me thi

sar barehna sare bazaar me thi

gir pada phat ke na kyu charqe kohan


bazuou me mere rassi thi bandhi

pusht kodou se badan hai zaqmi

har qadam par thi ek uftaad nayi

bazuou par hai mere daaghe rasan


apna mu ashkou se dhone wali

raat din apko rone wali

mar gayi seene pe sone wali

us ka zindaa'n me banake madfan