arbaeen karne aayi hai zainab
zakhm par zakhm khaayi hai zainab
sar ko bhai ke dafn karne ko
qabre sarwar pe aayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
jo bhi guzri hai shaam o kufe mein
khoone dil se sunayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
seh ke har mod par sitam pe sitam
deene ahmed bachayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
qabre abbas ibne haider par
ashk behad bahayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
kehti thi dekhlo meri haalat
be-rida hoke aayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
chut gayi qaid mein sakina bhi
qabr uski banayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
kya na dekhoge reesma ke nashan
jo ke baazu pe laayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
qabre ghazi laraz gayi us dam
jab kaha utho aayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...
kaise roodad e gham bober likhe
jo bhi aafat uthayi hai zainab
arbaeen karne aayi hai...