Kanz e Aza

ARBAEEN KARNA HAI SHAAHE KARBALAAI KA

A noha for Arbayeen, written by Mirza Fareed Baig and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Leke daagh seene par shaam ki judaai ka

Haq ada kare Zainab kaise Apne Bhai ka

Qafela utar aaya sabr ki khudaai ka

Karbala ke maida'n par Fatima ki Jaai ka


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Maut ke biyaba'n me zindagi ka maatam hai

Zulm ke andhero'n me roshni ka maatam hai

Aansuon ke toofan me tashnagi ka maatam hai

Ek Bahan ke hisse me har kisi ka maatam hai


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Dur tak nigahon me shaam ka andhera hai

Karbala se Kufe tak haadeson ne ghera hai

Jab se Naonihaalo ne Muh ko apne phera hai

Maamta ki godhi me maut ka basera hai


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Bhai kya sunaun me Ham pa kya sitam guzre

Baad e asr e ashoora bekafan the sab Laashe

Shaam e Gham ke chaate hee maut ke badhe saaye

Chin gayi rida meri Bhai jal gaye khaime


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Baad e Karbala Bhai har qadam qayamat thi

Berida rasan basta raah e Shaam se guzri

BhaiHam tamasha the raaste tamashai

Har qadam dua ye thi kaash maut aajaati


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Khud aseer e qismat thi dar badar gayi Zainab

Muh ko Apne baalon se dhaamp kar gayi Zainab

Majlise sitamgar me nange Sar gayi Zainab

Le ke saath kunbe ko Naoha kar gayi Zainab


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Bhai qaid khaane ki teergi se ho aaye

Aap ki amanat ko zulmaton me kho aaye

Khoon ghoshwaaro'n kaaansuo'n se dho aaye

Yu'n Sakina Bibi ko sab aseer ro aaye


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Aap se juda hokar jab Madina jaaungi

Jaa ke Maa ki Turbat par Marsia sunaungi

Karbala ke maqtal me kya hua bataaungi

BhaiApne baazu ke neel bhi dikhaungi


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka


Bhai ab Khuda hafiz qabr se chali Zainab

Bin tere guzaaregi kaise zindagi Zainab

Uth gayi Fareed aakhir keh ke Ya Ali Zainab

Dard o Gham ki duniya me phir se kho gayi Zainab


Arbaeen karna hai Shaahe Karbalaai ka