Aye Shaheed-e-jafa Ya Imam-e-raza
kya Sitam Hogaya Ya Imam-e-raza
1. Zeher Angoor Me Haaye Mamoon Ne
aap Ko Dediya Ya Imam-e-raza
2. Khaak Par Lot-te Hain Jigar Thaam Ke
khake Ke Zehr-e-dagha Ya Imam-e-raza
3. Peet-te Nikle Hain Apna Seena-o-sar
qabr Se Murtaza Ya Imam-e-raza
4. Bagh-e-jannat Se Khairunnisa Aagayin
karti Aah-o-buka Ya Imam-e-raza
5. Dekhiye Uthke Yasrab Se Milne Tumhe
aayi Hai Masooma Ya Imam-e-raza
6. Aapke Gham Me Rote Hain Sar Peet Ke
aaj Ahl-e-aza Ya Imam-e-raza
7. Ek Qayamath Hai Momin Khurasaan Me
rote Hain Mustafa Ya Imam-e-raza