Baqar(a.s) Yateem Hogaye Sajjad(a.s) Margaye
Bewea Janaabe dukhtar e shabbar(a.s) ko kargaye
1. Waris Bayaan karte hain ro ro ke raat din
Hum Bekasou'n ko chordh ke hazrath kidhar gaye
2. Duniya me koi puchne waala nahi raha
Kyun kar na hum jahaan se ya rab guzar gaye
3. Mar jaaye sarparast to kya lutfe zindagi
Hum Badnaseeb mout se pehle na margaye
4. Be wariso ka marna hi acch hai jeene se
Jab bekasi me monis o ghamkhwaar margaye
5. Hazrat se koi puchta rone ka jab sabab
Kehte the hum yateem hue baap margaye