Kanz e Aza

Beta sajjad Utho

A noha for Imam Raza (a.s) (2002). Lyrics in Roman Urdu.

Beta sajjad utho

Sajjad utho

Beta Sajjad utho-3


Sham E ghareeba'n me tha ZAINAB ka Nauha, Beta SAJJAD utho-2

Sham...

Jal gaye khaime mera koi bhi na raha.


Beta SAJJAD utho-2


Sham E ghareeba'n...

Beta-2

1) QASIM hain na ab ALI AKBAR qatl hue ABBAS E dilawar.

Khil gaya khil kar keh K gale par koi nahi ab monis O yawar.


Sham E ghareeba'n..

Beta-2

2) Tashna labo'n k khoon me dubi karbobala KI paak zami'n hai, Malzoomo bewo'n ka sahara koi nahi ab koi nahi hai.

Sham...


Beta...-2

3) Nanhe Mushahid gesuoo'n wale sher e jari ki maa ko sambhalo, Wo hai mere ASGHAR ki nishani jhule ko jalne se bachalo.

Sham...

Beta...-2


4) Maar raha hai shimr tamache neel pade hain rukhsaro'n par, Sun sun k beti ki sadayen kaanp uth-ta hai laashaye SARWAR.

sham...

Beta...-2

5) Roko sitamgaro'n ko roko uttho mere beta uth jao, Sher se bete ko dekha hai khoo'n me nahaye barchi khaye.


Sham..

Beta..-2

6) Dekho zara kya zulm hua hai dekh hui hai kaisi tabahi, Itni tassali do KUBRA ko bewa hui ik raat ki biyahi.

Sham..


Beta..-2

7) Maadar Kitni tadpi royi haye kisi ne Rehem na khaya, Teer laga ASGHAR k gale par Mara gaya besheer bhi pyasa.

Sham..

Beta..-2


8) Sher se bete ko dekha hai khoo'n me nahaye barchi khaye, Dil pe jawa'n bete ka gham hai maa uski kahi'n mar na jaye.

Sham..

Beta..-2