bekal hai kal se kul ka madadgaar haaye haaye
zaalim ne kis ghazab ka kiya waar haaye haaye
teghe sitam se hogaya doneem o neelgu'n
farqe janabe hyder karrar haaye haaye
har qaanaye quda se sadae buland hai
aye jaanasheene ahmade muqtar haaye haaye
bewo ka aur yateemo ghareeebo ka daad ras
hai aaj teen roz se beemaar haaye haaye
surat nahi hayaat ki kehte hai mujtaba
chilla raha hai peetke gharbaar haaye haaye
ek ek ko apne aage talab karke shaahe dee'n
farmaarahe hai aaqri deedaar haaye haaye
mashghool sab buka me hai lekin abul hasan
karwaate hai har ek ka iftar haaye haaye
zainab ke baazu par to gale par hussain ke
roro ke kar rahe hai ali pyaar haaye haaye