Kanz e Aza

Alweda Alweda Alweda ay Hussain

A noha for Alvida (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(4)


1. Ye sada e fugha'n aur ye majlisein..(2)

matam o nauha aur gham ki ye zeenatein..(2)

chahta hai ye dil yuhi qayam rahe..(4)

aah fat-ta hai dil kis tarha ye kahe


Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(2)


2. Mere mehman hai akhri ye salam..(2)

tujh pe qurban hai akhri ye salam..(2)

shahe zeeshan hai akhri ye salam..(4)

dil hai veeran hai akhri ye salam


Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(2)


3. Bakhsh de hogayi ho jo koi khata..(2)

haq e khidmat na hum se adaa ho saka..(2)

ghum yehi hai na jee bhar ke matam kiya..(4)

teri khatir na kyu apna sar de diya


Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(2)


4. Gar jiye saal bhar phir karenge ye ghum..(2)

royenge phir tere ghum mein milkar baham..(2) aur agar mar gaye to ye hoga alam..(4)

haye afsos jee bhar ke roye na hum


Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(2)


5. Alwida aye hussain, aye hussain alwida..(2)

alwida aye shahe mashraqain alwida..(2)

Bint e Ahmed ke aye noore ayn alwida..(4)

hai mujahid ke lab par ye bayn alwida


Alwida, alwida, alwida.. aye hussain..(2)

Alwida aye hussain.. alwida aye hussain


Bache to alag baras hum hai aur ye ghum phir hai

jo chal base to yeh, apna salam e akhir hai