alvida aye hussain aye hussain alvida
aye rasoole mukkaram ke chain alvida
1. zeenat-e- do jahan hai tere naksh-e-pa
tere sajde kiye magrabain alvida
alvida aye hussain aye hussain alvida
2. majlise teri har ghar mein ho jalwagar
tujhko roti hai duniya hussain alvida
alvida aye hussain aye hussain alvida
3. chandni raat par murdani chaagayi
khogaya chand taaron ka chain alvida
alvida aye hussain aye hussain alvida
4. sarkhule fatima aarahi hai nazar
ro rahe hai shahe mashra khain alvida
alvida aye hussain aye hussain alvida
5. hum jiyegein toh agle baras royenge phir se hoga yahi shor -o- shain alvida
alvida aye hussain aye hussain alvida