Kanz e Aza

Alwida Ay Tishnagane Karbala

A noha for Widaye Ayyam e Aza. Lyrics in Roman Urdu.

Alwida Ay Tishnagane Karbala

alwida ay koshtagane karbala


is baras bhi mil saka na dil ko chain

ro sake na tujko jee bhar kar hussain

nohagar hai aaj matam ki sada

alwida ay….


as-salam ay umme laila ke jawan

kab tere seene may dar aayi sina

khaab ibrahim ka poora hua

alwida ay….


as-salam ay saahibe mashko alam

tere gham ke saath hai kuch aur gham

bebasi bali sakina alqama

alwida ay….


as-salam ay asghare ghuncha-dahan

sab ke seeno may hai naawak ki chuban

tu na ho to kuch nahi hai karbala

alwida ay….


as-salam ay kund khanjar ke qateeb

hai teri taazeem may roohe khaleel

rehgaya tere sabab naame khuda

alwida ay….


dashte ghurbat ke sitaro par salam

shaahe-deen ke jaanisaro par salam

unpe hai shahid hamari jaan fida

alwida ay….