Kanz e Aza

Alwida Mai Ja Raha

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Zameer Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

alwida khairul wara mai jaa raha hoo karbala

tujhse ab hone juda mai jaa raha hoo karbala


martaba mera zamane ko dikhaya aap ne

meri khaatir ya nabi sajda badhaya aap ne

sehne ab jor o jafa mai jaa raha hoo karbala

alwida khairul wara...


turbat e zehra pe aa ke shaah e karbal ne kaha

chod kar ab qabr teri deen par hone fida

maa meri khairunnisa mai jaa raha hoo karbala

alwida khairul wara...


waqt e ruqsat aap se hai bas yehi kehna mujhe

saaya ban kar fatema sughra pe rehna hai tujhe

mere bhaiya mujtaba mai jaa raha hoo karbala

alwida khairul wara...


khoon se apne charagh e deen jalana hai mujhe

farsh ko arsh e moalla se milaana hai mujhe

farz ye karne ada mai jaa raha hoo karbala

alwida khairul wara...


wan zameer insano ki yehi banegi dars gaah

ye batayega jahan ko rayt par sajda mera

keh raha hoo barmala mai jaa raha hoo karbala

alwida khairul wara...