Kanz e Aza

Chorta Hoon Mei Vatan Deen Ko Bachanay Kai Leeyai

A noha for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

Jo Kia Wada Azal Mein Wo Nibhanay Kay Leeyai


Ker Diya Majboor Mujhko Karnay Aaya Hoon Salaa (x2)

Ja Raha Hoon Kerbala Wapis Na Aanay Kay Leeyai


Aagaya Wo Din Bhi Shidat Say Tha Jis Ka Intezaar (x2)

Baithi Hai Tayaar Zainab Saath Janay Kay Leeyai


Hogaeen Nana Mukamil Sub Meri Qurbaaniyan (x2)

Agaya Duniya Mei Asghar Teer Khanay Kay Leeyai


Kanpthay Hain Saray Insan Moth Ki Dehleez Per (x2)

Dil Ali Asghar Ka Chahiyai Muskuranay Kay Leeyai


Darti Hai Zainab Abhi Thak Khoon Rota Hai Sajjad (x2)

Phir Koi Isko Na Kehday Shaam Janay Kay Leeyai


Sookhay Lub Masooma Kai Daikhay Tho Ghazi Nai Kaha (x2)

Ja Raha Hoon Mein Sakina Paani Lanay Kay Leeyai


Dhal Gaya Ashoor Ka Din Cha Gaee Tanveer Raat (x2)

Aag Lathay Hain Shaqi Khaimay Jalanay Kay Leeyai