hussain aap ka karbobala chala amma
badal rahi hai zamane ki ye fiza amma
mai jaanta hoo mashiyat bula rahi hai mujhe
mere nabi ki shariyat bula rahi hai mujhe
pukaarta hai mujhe dasht e nainawa amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
kiya tha waada jo bachpan mein wo nibhana hai
jigar ke tukdon se maqtal mujhe sajana hai
khudara kijega haq mein mere dua amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
palat ke aaunga ab mai kahan madine mein
hai paas nani ke sughra wahan madine mein
jalaane aayegi marqad pe wo diya amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
safar ko zainab e dilgeer saath jaati hai
wo dekho waaris e tatheer saath jaati hai
chinegi dasht mein ghamkaar ki rida amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
badal gaya hai zamane ka kis khadar manzar
layeen taalib e bayat hai kya kare sarwar
chuna ghareeb ne maqtal ka raasta amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
dil e hazeen pe mere ye sitam bhi hone hai
nehr pe bhai ke baazu qalam bhi hone hai
ghamon ki honi hai kuch aise inteha amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
faza e karbobala mein udaasiyan aayi
utho rasool tumhari nawasiyan aayi
basheer dega tadap ke yehi sada amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...
tadap ke aalam o yazdan ye bole shaah e huda
na saath mera kabhi chodiyega behr e khuda
hussain karta hai bas itni ilteja amma
hussain aap ka karbobala...
badal rahi hai zamane...