Kanz e Aza

Jiye Sada Hussain

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Maulana Syed Shamshad Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

Karo dua jiye sada Hussain

Museebaton mein hai ghira Hussain


Nabi ki aal par ajeeb waqt aaj aa pada

Hussain chhod kar Madina ja rahe hain Karbala

Lahad se aayi ek shikasta pehlu Bibi ki sada

Ghareeb ho rahi hoon aaj main

Tere hawale ae Khuda Hussain


Badi museebaton se paala hai gule jamal ko

Chalai chakkiyan to god mein sula ke laal ko

Kiya hai faqon mein bhi poora uske har sawaal ko

Zamana dushmani pe hai tula

Mere Khuda hai bekhata Hussain


Alam-e-Jari ke haath mein, amariyon mein bibiyan

Sawariyon ke gird hain abhi to Hashmi jawan

Ujad na jaaye Karbala mein ja ke haq ka karwan

Yeh gulistan rahe sada bahar

ho Tujh pe dukhiya maan fida Hussain


Safar su'ubaton ka hai, bala ka saamna bhi hai

Hai tez dhoop ki tapish to garmiye hawa bhi hai

Hai saath Akbar-e-Haseen, Hasan ka mah-laqa bhi hai

Rabab ki hai god mein Sagheer

jo Ghutnon na chal saka Hussain


Chiragh kaun ab mere mazar par jalayega

Mujhe qarar kis tarah tere baghair aayega

Tera firaq qabr mein sada mujhe rulayega

Na betiyan hon be-rida meri

Na be-kafan rahe mera Hussain


Zamana kamsini mein dekhe to shuoor-e-mehjabi

Behan ki god chhodta nahin tha Asghar-e-Hazeen

Hussain bole muntazir hai Karbala ki sarzameen

Yeh keh ke god mein woh aa gaya

Hussain Hussain, Labbaik Ya Hussain


Main sun chuki hoon Baba se ke tujh ko maara jayega

Atash mein teen din ke tere sar ko kaata jayega

Teri yateem bachi par taras na koi khayega

Katega meri god mein gala

Seena pe hoga sar tera Hussain


Ba-chashm-e-tarya log kehte apne apne ghar gaye

Madine walon ke liye Hussain aaj mar gaye

Yateem apni Sughra ko hayat hi mein kar gaye

Bata raha hai shor-o-sheen

Yeh palat ke ab na aayega Hussain


Juz uske kaun doosra nawasa-e-Rasool hai

Dil-e-Batool qabr mein yeh soch kar malool hai

Hazaron kaante aur akela Fatima ka phool hai

Likha jo nauha Shamshad ne

Faqat yeh hai teri ata Hussain