jo bijli tayghe hyder ki sar e khyber nazar aayi
sar e marhab pa chamki sheh par e jibraeel par aayi
jo bijli tayghe hyder...
padi thi kuch ajab andaz se mursal ne khyber may
ali ki shakl may naade ali sab ko nazar aayi
jo bijli tayghe hyder...
qayamat kyun na ho abbas ka hamla sar e saahil
nazar aaya jo darya baazu ki machli ubhar aayi
jo bijli tayghe hyder...
sunati thi butool e paak ko sab jang ki baatein
palat kar jang se taygh e ali jab apne ghar aayi
jo bijli tayghe hyder...
ali ke haath ki zarbat hai goya zarbat e qaadir
sar e arzaq pa chamki thi ke badkar ta kamar aayi
jo bijli tayghe hyder...
ali ko ahle emaan dekh kar kaabe may kehte hai
mohamad ke liye allah ke ghar may sipar aayi
jo bijli tayghe hyder...
ye shamsheeer e ali hai ya hai baraste abr may bijli
wahan kaundhi yahan garji udhar chamki idhar aayi
jo bijli tayghe hyder...
likhe thay haath se khud panjetan ke naam kashti par
tabhi to nooh ki kashti sar e toofan ubhar aayi
jo bijli tayghe hyder...
wohi hurr ghayr kar laaya tha jo shabbir ko ban may
usi hurr ko rukhe shabbir may jannat nazar aayi
jo bijli tayghe hyder...
azaab aata hua rukwa diya apni sifarish se
ata e shaah e deen mahir sar e mehshar nazar aayi
jo bijli tayghe hyder...