chal pade shabbir karbal hogaya veeran madina
roti akbar tujhko sughra reh gayi tanha madina
sar bhi dunga ghar bhi dunga behno ki chadar bhi dunga
deen bachane ke liye naujawan akbar bhi dunga
ab na zinda laut kar mai aaunga nana madina
chal pade shabbir karbal...
behne le kar haram le kar karbala ko jaa raha hoo
ek gham hai mere dil mein jisko le kar jaa raha hoo
nana ummat ne nahi di qabr ki bhi jaa madina
chal pade shabbir karbal...
ra raha hai ek sehra de raha hai wo sadayein
khoon khudara de ke apna maula mujhko aa basayein
ban jaunga mai muqaddas jis tarha makkah madina
chal pade shabbir karbal...
subha ashoora jo goonji ban mein akbar ki azan
behne royi phupiyan royi roti hai akbar ki maa
sun ke royi behan bichdi bhai ki azan madina
chal pade shabbir karbal...
jab chal tha khaafila ye oonton ki thi sau khatarein
aaj shahid bibiyon ki koi sunta na pukarein
teen mehmil ek muhaari khaafila lauta madina
chal pade shabbir karbal...