Kanz e Aza

Ay naserane Aza tumho fatima ki duaa

A noha for Alvida. Lyrics in Roman Urdu.

Ay naserane Aza tum ho fatima ki dua, Sadae haye hussaina bapa karo harja, 1) bahao Ashke aza fatima ko do pursa, Karo hussain ka matam Suna k yeh noha.


2) Kiya wo noha shahedee'n ne laashe Ghazi par, Ke jisko sunke sitamgar bhi karrahe the buka.


3) ye bain karte hai kouno makaa'n me jinno bashar, Bulake dhoke se Aada ne sheh ko Qatl kiya.


4) Ajeeb tarha ki shadi rachi hai karbal me, Hai pyase dulha dulhan aur Barati aale aba.


5) Na tha layeno'n me kya koi sahebe aulaad, Sawale Aab pa Asghar ko teer se maara.


6) tumhare sar pa hai Qayam Imam ka saya, Khosha naseeb ke tumko hai bawafa ki aata.


7) Ye naseraane Aza ki sadaye hai moula, Fazai karbobala me sunaye yeh Noha