Aye Momino yeh din hai Qayamat ke Barabar Rotay hain Paiyambar
Lo Qatl Howe Askari hai Soug Mai Hyder Rotay hain Paiyambar
Abbasio'un key daur ka har pal tha Qayamat din Raat hai aafat
Yaad atay hai woh daur-e-jafa kay Manzar Rotay Hain Paiyambar
Jab Zah'her diya Mothamad-e-Dushman-e-Deen ney Ahza likha dikne
Akhir ko Shahadath huvi seh roz Tadap kar Rotay Hain Paiyambar
Chillati Hai Zehra key Duhaee hai Qudaya Mara Gaya Beta
Beti Ney Kiyeh Bain jo Jannat Mai Tadap kar Rotay Hain Paiyambar
Mehdi Key lia Aah Yateemi ka hai Agaaz ab Gham hee hai damsaaz
Pursey key lia Aae hain Shabbir-o-Shabbar Rotay Hain Paiyambar
Sab Momeeno ka Samaira Hain Chaak Jigar hai Dil Souz Khabar hai
Matam Hasan-e-Askari ka Hota hai Ghar Ghar Rotay Hain Paiyambar
Saaya jo Hasan Askari ka Sar se Utha Hai Sadmah yeh bada hai
Ab Khaak Udatay huwe sab nikaley hain bahar Rotay Hain Paiyambar
Pehna key Kafan Baap ko Marqad Main Uthara Aur Rokay Pukara
Bai goro Kafan dhoop main tha Laashae Sarwar Rotay Hain Paiyambar
Bharpur jahan tha abhi Marney ka na tha sin Afsoos hai Mohsin
Gul Shamay Hayath Askari ki kardiyeh Akhir Rotay Hain Paiyambar