Kanz e Aza

Ay Doston Kami Na

A noha for Widaye Ayyam e Aza. Lyrics in Roman Urdu.

ay doston kami na ho ab shor o shain mein

zainab bhi hai aza e shahe mashraqain mein

phat jaye dil wo dard hai dukhiya ke bain mein

lo fatema bhi aagayi bazme hussain mein

chehre pe khaak baal pareshan kiye huwe

godhi mein ek nanha sa laasha liye huwe


goya ye keh rahi hai batool e falak maqam

ay bewatan ke taziyadaron mera salaam

matlab ye hai ke aaj majalis hui tamam

ruqsat talab hai ahle aza maadar e imam

dil par hujoom hai gham o ranj o malaal ka

pursa batool o paak ko do unke laal ka


rolo ke ye tazkira e gham bhi khatm hai

fasle aza e sarwar e aalam bhi khatm hai

matam karo ke aaj ye matam bhi khatm hai

majlis bhi marsiya bhi moharram bhi khatm hai

hyder bhi sab ke saath hi aansu bahate hai

yaaro hussain taaziya khane se jaate hai


ay rone waalon aankhon se darya e khoon bahao

matam karo hussain ka sar par khaak udao

farshe aza lapet ke rakho alam badhao

das din ka mehman chala taaziya uthao

ashkon ki nazr de ke imame anaam ko

ruqsat karo hussain e alaihis salaam ko


ro kar kaho ke ay shahe abraar alwida

ay kaarwan e dard ke salaar alwida

ay ummate rasool ke ghamkhwar alwida

kadiyal jawan pisar ke azadaar alwida

kya jaane agle saal jiye ya marenge hum

par qabr mein bhi taziyadari karenge hum


ay be-dayar o be-sar o samaan alwida

ay ummate rasool ke mehman alwida

hyder ki rooh fatema ki jaan alwida

ay mustafa ki godh ke quran alwida

ashre ke khatm hote hi hum se bichad gaye

maula tumhare taaziya khane ujad gaye