aye ali ke laal saqqa-e-harram
1. hain nazar mein har taraf zulm-o-sitam
ab kisey awaaz de ghurbat mein hum
shahe deen ye kehtey the ba chashme nam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
2. hai jigar pe daag akber ka mere
khoon hai chehrey pe asghar ka mere
yeh zayeefi aur yeh bar-e-alam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
3. dekh kar dariya ki janib yeh kaha
hogayi be aas aale mustafa
jab huwe ran mein tere baazoo qalam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
4. kardiye paamal qasim ko layee
hai lahoo se lal maqtal ki zamee
daag qasim ka nahi akber se kam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
5. ab sakina ko nahi ek pal bhi chain
kya kare kis tarha behlaye hussain
ro rahi hain dekh kar mashko alam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
6. jab gire ghodey se maidan mein hussain
kar rahi thi zainab-e-muztar yeh bain
hain qayamat par qayamat har qadam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
7. hai nazar mein shaam-e-gham ka har sama
chadare chinti huwi jalte makaa
abid -e- bimaar per zulm-o-sitam
aye ali ke laal saqqa-e-harram . . .
8. tha fareed us dam qayamat ka sama
jis ghadi tha khanjar-e-qaatil rava
thi jabin-e-shahedi sajdey mein kham
aye ali ke laal saqqa-e-harram . .